FamousSadPoetry

FamousSadPoetry

Breaking

Sunday, April 21, 2019

December Phir Udaas Hai

April 21, 2019 0
December Phir Udaas Hai

Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak..
Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai.
Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai.
Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai..
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai..
Baat Toh Kare Koi,
Saath Toh Chale Koi,
Khaamoshi Ka Pehra Hai
Zakhm Dil Ka Gehra Hai
Kisi Bahut Apne Ki
Ab Mujhe Talaash Hai.
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai


jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

April 21, 2019 0
jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye
apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye

mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna
raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye

pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi
jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye

jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye

jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan
mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye

uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL
wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

April 21, 2019 0
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko


Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi
Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya
Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizain Ab Bhi Hain
We Bheege Bheege Pani Ki
Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain
Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun
Aur Dil Apna Sulgata Hun
Ab Tum Nahi Hote Sath Mere
Aur Hote Hain Khali Haath Mere
Pur Shor Sadain Poochti Hain
Wo Sard Hawain Poochti Hain
Wo Kahan Gaya Sathi Tera?
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya?
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko




Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise

April 21, 2019 0
Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise


Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise
Tere Lamhon Ne Mere Barson Ki rafaqat Cheeni


Aaj Ek Or Baras Beet Gaya Uske Bagair
Jis Ke Hote Howe Hote Thai Zamane Mere

Ek Ajnabi Ke Hath Mai Dekar Hamara Hath
Lo Sath Chorne Laga Akhir Ye Saal Bhi

Mujh se Bichar Gaya Jo Guzry Saal ki Tarha,
Is ka Bhi Haal ho ga Mere Haal ki Tarha,
Aya Nahi Wo Reh gaye Rasty Sajy huwe,
Ye Saal Bhi Guzar Gaya Her Saal ki Tarha

Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Pas Aye
KHUDA Kare Naya Saal Sab Ko Raas Aye




Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay

April 21, 2019 0
Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walayHum teri ankh se hijrat nahi krne walayApne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarhaHum ibadat ki tijarat nahi krne walayYe alag baat hai k izhaar nahi kar sakteYe na samjho mohabat nahi karne walayKaat kar phaink de sar chahe saja naizay parHum tere haath pe Baiat nahi karne walayHakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhankLog Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay


Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat

April 21, 2019 0
Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Gay To Yaad Aaonga

Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Gay To Yaad Aaonga

Meri Khushbo Tumhe Kholegi Gulabon Ki Tarah Tum Agar Khud Se Na Bolo Gay To Yaad Aaonga

Meri Khushbo Tumhe Kholegi Gulabon Ki TarahTum Agar Khud Se Na Bolo Gay To Yaad Aaonga

Isi Andaz Mai Hote Thai Mukhatib Mujh Se Khat Kisi Aur Ko Likhogay To Yaad Aaonga

Isi Andaz Mai Hote Thai Mukhatib Mujh SeKhat Kisi Aur Ko Likhogay To Yaad Aaonga

Isi Judai Mai Tum Andar Se Bikhar Jaogay Kisi Maazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaonga

Isi Judai Mai Tum Andar Se Bikhar JaogayKisi Maazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaonga

Humne Khushiyun Ki Tarah Dukh Bhi Ikhattay Dekhe Saf e Zeest Ko Palto Gay To yaad Aaonga

Humne Khushiyun Ki Tarah Dukh Bhi Ikhattay DekheSaf e Zeest Ko Palto Gay To yaad Aaonga

Tum Meri Ankh Ke Tewar Na Bhula Pao Gay An Kahi Baat Ko Samjho Gay To Yaad Aaonga

Tum Meri Ankh Ke Tewar Na Bhula Pao GayAn Kahi Baat Ko Samjho Gay To Yaad Aaonga


Usay Khone Se Darta Tha

April 21, 2019 0
Usay Khone Se Darta Tha
Usay Khone Se Darta Tha
Usay Khone Se Darta Tha

Usay Khone Se Darta Tha
Bohat Rone Se Darta Tha
Phir Ek Din Ye Samajh Aaya
Ke Roya Un Ko Jata Hai
Bichre Jo Muqaddar Se
Ke Khoya Unko Jata Hai
Jo Hasil Hon Muyassar Hon
Jo Danista Bichar Jaye
Usay Roya nahi Karte
Jisay Paaya Nahi Ab Tak
Usay Khoya Nahi Karte